Banner
Unki Jaame Jam Aankhen Sheesha Hai Badan Mera

Unki Jaame Jam Aankhen Sheesha Hai Badan Mera

This Beautiful Naat “Unki Jaame Jam Aankhen Sheesha Hai Badan Mera” is written by Qari Rizwan. In this post you will get Unki Jaame Jam Aankhen Naat Lyrics in Urdu.

Unki Jaame Jam Aankhen Naat

Unki Jaame Jum Ankhain Sheesha Hy Badan Meraa
Unki Bund Mutthi main sara Baakpun Mera
🌟🌟🌟

Arze Gang Meri Hy Khittaye Jaman Mera
Mein Ghulaam e Khuwaja Hun Hind hy Watan Mera
🌟🌟🌟

Ashiq e Nabi ﷺ Hon Main Waris e Ali Hon Main
Maila ho na payega hashar tk Kafan Mera
🌟🌟🌟

Ap Chahyn ho Jaye Sari Mushkilain Asaan
Ap chahyn Mit Jaye Ranj or Mihan Mera
🌟🌟🌟

Lamha Lamha Yaad Unki Saans Saans zikar Unka
Han Yehi To rehta hai Aj kl Jatan Mera
🌟🌟🌟

Maine Sare Kam Apne Mustafa Ko Sonpay hain
Kia Bigad Payega Dour e Pur Fitan Mera
🌟🌟🌟

Hashar Main Tarazo Pr Toly Jayengy Aamaal
Kam Aahi Jaega Naat Ka Yeh Fan Mera
🌟🌟🌟

Arsh Se Pary Jaakar Mustafa ﷺ Ne Batlaaya
Yeh Zamee Bhi Meri Hy or Hy Gagan Mera
🌟🌟🌟

Naate Mustafaa ﷺ Kehna Naat e Mustafa ﷺ Sunna
Mujh ko Baksh wayega hy Yehi chalan Mera
🌟🌟🌟

Hashar Main Nida Hogi ye Gulam Kiska Hy
Mujh ko Dekhy or kehdy Ya Shah e Zaman Mera
🌟🌟🌟

Arsh Jhoom Jhoomm Utha Qudsiyo Koo Wajd Aya
Naat e Mustafa ﷺ Main Jab Khul Gya Dahan Mera
🌟🌟🌟

Taqe Dil Py Rakhi Hy Shamma Ishq e Ahmed ﷺ ki
Noor Ki Shuaon sy Bhar Gya hy Man Mera
🌟🌟🌟

Waqf e Zikre Ahmed ﷺ Ho Ta Abad Qalam Ya Rab
Hashar Tk Rahe Jari Chashmae Sukhan Mera
🌟🌟🌟

Azmatain Mere Agy Sajda Raiz ho Jye
Unke Dar Sy Cho Jye Kash Pairahan Mera
🌟🌟🌟

Kb Talak Duhayi Don Bekasi Ke Alam Main
Bhagya Kb Sanwarengy Paak Panjatan Mera
🌟🌟🌟

Hashar Main Tarazo Pr Toly Jayengy Aamaal
Kam Aahi Jaega Naat Ka Yeh Fan Mera
🌟🌟🌟

Arsh Se Pary Jaakar Mustafa ﷺ Ne Batlaaya
Yeh Zamee Bhi Meri Hy or Hy Gagan Mera
🌟🌟🌟

Gulshan e Madina Se Nazmi Mujhkoo Nisbat Hy
Aik Aik Kali Meri Gul Mera Chaman Mera
🌟🌟🌟

About Muhammad Abdullah

Muhammad Abdullah, a celebrated Naat Khawan and CEO of NaatLyrics.online, is dedicated to spreading love for the Prophet Muhammad through soulful naat recitations. This platform provides authentic naat lyrics, enriching the lives of enthusiasts worldwide. Muhammad Abdullah inspires a deeper connection to faith and the Prophet.

Check Also

Meri Zindagi Ka Tujh sy Lyrics

Meri Zindagi Ka Tujh sy Lyrics

This Beautiful Naat “Meri Zindagi Ka Tujh sy” is written by Peer Syed Naseer Uddin …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *