Mujhe Dar Pe Phir Bulana Lyrics

This Beautiful Naat “Mujhe Dar Pe Phir Bulana” is written by Molana Ilyas Attar Qadri. In this post, you will get mujhe dar pe phir bulana lyrics, Mujhe Dar Pe Phir Bulana Lyrics in English and mujhe dar pe phir bulana naat lyrics.

Mujhe Dar Pe Phir Bulana Lyrics

Mujhe Dar Pe Phir Bulana Madani Madine Wale
Ma E Ishq Bhi Pilaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Meri Aankh Me Samaana Madani Madine Wale
Bane Dil Tera Thikaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Teri Jab Ke Deed Hogi Jabhi Meri Eid Hogi
Mere Khwaab Me Tum Aana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Mujhe Sab Sataa Rahe Hain Mera Dil Dukha Rahe Hain
Tumhi Hausla Badhaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Mere Sab Azeez Choote Mere Yaar Bhi To Roothe
Kahi Tum Na Rooth Jaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Mai Agar Che Hoon Kameena Tera Hoon Shahe Madina
Mujhe Seene Se Lagaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Tere Dar Se Shaha Behtar Tere Aastaan Se Badhkar
Hai Bhala Koi Thikaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Tera Tujh Se Hoon Sawaali Shaha Pherna Na Khali
Mujhe Apna Tum Banaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Ye Mareez Mar Raha Hai Tere Haath Me Shifa Hai
Aye Tabeeb Jald Aana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Tu Hi Ambiya Ka Sarwar Tu Hi Do Jahaan Ka Yaawar
Tu Hi Rehbare Zamaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Tu Hai Be Kason Ka Yaawar Aye Mere Ghareeb Parwar
Hai Sakhi Tera Gharaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Tu Khuda Ke Baad Behtar Sabhi Se Mere Sarwar
Tera Haashmi Gharaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Teri Farsh Par Huqumat Teri Arsh Par Huqumat
Tu Shehenshah E Zamaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Tera Khulq Sab Se A’ala Tera Husn Sab Se Pyaara
Fidaa Tujh Pr Sab Zamana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Kahoon Kis Se Aah Jaakar Sune Kaun Mere Dilbar
Mere Dard Ka Fasaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Mai Ghareeb Be Sahara Kahaan Aur Hai Guzaara
Mujhe Aap Hi Nibhaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Ye Karam Bada Karam Hai Tere Haath Me Bharam Hai
Sare Hashr Bakhshwaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Kabhi Jau Ki Moti Roti To Kabhi Khajoor Pani
Tera Aisa Saada Khana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Hai Chatayi Ka Bichona Kabhi Khaak Hi Pe Sona
Kabhi Haath Ka Sir-Haana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Teri Saadgi Pe Laakhon Teri Aajizi Pe Laakhon
Ho Salaame Aajizaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Mile Naza Me Raahat Rahoon Qabr Me Salaamat
Tu Azaab Se Bachana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Aye shafi e roz e mehshar! Hai gunaah ka bojh sar par
Mai Phasaan Mujhe Bachaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Mere shaah! Waqte rukhsat mujhe meetha meetha sharbat
Teri Deed Ka Pilaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Pas Marg Sabz Gumbad Ki Huzoor Thandi Thandi
Mujhe Chaoon Me Sulaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Mere Walidain Mehshar Mein Go Bhool Jaye Sarwar
Mujhe Tum Na Bhool Jaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Shaha Tangi Badi Hai Yahaan Dhoop Bhi Kadi Hai
Shahe Hauze Kausar Aana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Mujhe Aafaton Ne Ghera Hai Musibaton Ka Dera
Ya Nabi Madad Ko Aana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Mera Seena Ho Madina Mere Dil Ka Aabgeena
Bhi Madina Hi Banaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Aye Habeebe Rabbe Baari Hai Gunaah Ka Bojh Bhari
Tumhi Hashr Me Chchudana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Meri Aadatein Ho Behtar Banu Sunnaton Ka Paikar
Mujhe Muttaqi Banaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Shaha Aisa Jazbaa Paau Ke Mai Khoob Seekh Jaau
Teri Sunnate Sikhaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Tere Naam Par Ho Qurbaan Meri Jaan Jaane Jana
Ho Naseeb Sar Kataana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Teri Sunnaton Par Chal Kar Meri Rooh Jab Nikal Kar
Chale Tum Gale Lagaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Hai Muballigh Aaqa Jitne Karo Door Unse Fitne
Buri Maut Se Bachaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Mere Ghous Ka Waseela Rahe Shaad Sab Qabeela
Inhe Khuld Me Basaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Mere Jis Qadar Hai Ahbaab Inhe Karde Shaha Betaab
Mile Ishq Ka Khazaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Meri Ane Wali Naslen Tere Ishq Hi Me Machlen
Unhe Nek Tum Banaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Mile Sunnaton Ka Jazbah Mere Bhai Chchode Maula
Sabhi Dadiyaan Mundaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Mere Jis Qadar Hai Behne Sabhi Kaash Burqa Pehne
Ho Karam Shahe Zamaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Do Jahaan Ke Khazane Diye Haath Me Khuda Ne
Tera Kaam Hai Lutaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

Teri Gham Me Kaash Attar Rahe Har Ghadi Giraftaar
Ghame Maal Se Bachaana Madani Madine Wale
🌟🌟🌟

About Muhammad Abdullah

Muhammad Abdullah, a celebrated Naat Khawan and CEO of NaatLyrics.online, is dedicated to spreading love for the Prophet Muhammad through soulful naat recitations. This platform provides authentic naat lyrics, enriching the lives of enthusiasts worldwide. Muhammad Abdullah inspires a deeper connection to faith and the Prophet.

Check Also

Soz E Dil Chahiye Lyrics in English

Soz E Dil Chahiye Lyrics in English

This Beautiful Naat “Soz E Dil Chahiye Chashm E Nam Chahiye” is written by Iqbal …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *