Mujda Baad Aye Aasion Lyrics

Mujda Baad Aye Aasion Tazmeen Lyrics

This Beautiful Naat “Mujda Baad Aye Aasion” is written by Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan (R.A). In this post you will get Mujda Baad Aye Aasion Tazmeen Lyrics in Urdu and English & Mujda Baad aye Aasion Owais Qadri Lyrics.

Mujda Baad Aye Aasion Tazmeen in Urdu

Ḥashr Ke Din ‘Azmat-E-Sarkarﷺ Ka Iẓhar Hai
Suniyoñ Phir Kyuñ Tumhare Dil Pe Gham Ka Baar Hai
Bakhshwane Ke Liye Un Ka Karam Tayyār Hai
Mujda Baad Ae ‘Asiyo! Shāfe’ Shah-E-Abrar Hai
Tehniyat Ae Mujrimo! Zāt-E-Khudā Ghaffār Hai
🌟🌟🌟

Ikhtiyār-E-Mustafaﷺ Ka Aao Hum Charcha Kareñ
Naaat-E-Ḥazrat Se Chalo Hum Murda Dil Zinda Kareñ
Ek Ishāra Jab Kabhi Angusht Se Āqāﷺ Kareñ
Chand Shaq Ho, Pair Boleñ, Janwar Sajda Kareñ
Bārakallāh Marja’-E-‘Ālam Yahi Sarkar Hai
🌟🌟🌟

Do Jahān Mein Rab Ne Jin Ko Raḥmat-O-Kausar Diye
Sukhi Lakri Ko Jinhoñ Ne Taigh Ke Se Par Diye
Jin Ke Hāthoñ Mein Khudā Ne Kanz-E-Bahr-O-Barr Diye
Jin Ko Sū’e-Āsmān Phelā Ke Jal Thal Bhar Diye
Ṣadqah Un Hāthoñ Ka Pyāre Hum Ko Bhi Darkār Hai
🌟🌟🌟

Shāh-E-Khūbāñﷺ Tum Ko Maulā Ne Banāya Be-Naẓeer
Chand, Sūraj Aur Sitāre Sab Tumhare Haiñ Aseer
Tum Jo Farma Do Woh Hokar Hi Rahe Taiba Ke Meer
Lab Zulāl-E-Chashma’-E-Kun Mein Gundhe Waqt-E-Khameer
Murde Zinda Karna Ae Jān Tum Ko Kya Dushwār Hai
🌟🌟🌟

Qabr Ki Weḥshat Ne Ghera Pur-Khatar Haiñ Rāste
Main Akela Aur Nakireen Aur Un Ke Ẓabiṭy
Jalwa’-E-Zeba Dikha Do Ab Mita Do Fāṣile
Gore Gore Pāoñ Chamka Do Khudā Ke Wāste
Nūr Ka Ṭarka Ho Pyāre Gor Ki Shab-E-Tār Hai
🌟🌟🌟

Ḥashr Ke Maidān Ka Har Rāsta Hai Pur-Khatar
Ḥauẓ-E-Kausar Ho Ya Ho Mizan Ya Pul Ki Dagar
Nafsi Nafsi Ka Hai Ālam Aise Mein Khair-Ul-Bashar
Tere Hi Dāman Pe Har Āaṣi Ki Paṛti Hai Nazar
Ek Jān E Be Khaṭā Par Do Jahān Ka Baar Hai
🌟🌟🌟

Ek Arṣa Ho Gaya Dekhe Hue Faṣl-E-Bahār
Gardish-E-Daurāñ Ne Seena Kar Diya Hai Dāghdār
Kijiye Nazar-E-Karam Ab To Shah-E-Āali Waqar
Josh-E-Ṭofan Behre Be Pāyā Huā Nā Sāzgār
Nūḥ Ke Maulā Karam Kar De To Bīṛa Pār Hai
🌟🌟🌟

Shehad Nām-E-Mustafaﷺ Lene Se Munh Mein Jāe Ghul
Un Ki Hi Midhat Mein Haiñ Qur’ān Ki Āyāt Kul
Kya Bayān Kar Pāe Koi Shaan-E-Sulṭān-Ul-Rusul
Ḥairateñ Hain Aina Dār-E-Wafūr-E-Waṣf-E-Gul
Un Ke Bulbul Ki Khamoshi Bhi Lab-E-Iẓhār Hai
🌟🌟🌟

Ek Se Badh Ek Āye Dehr Mein Ahl-E-Zabān
Naat Goi Mein Magar Un Sa Nahi Sehar-E-Bayān
Jhoom Kar Ayubؔ Boly Bulbul-E-Bāgh-E-Jināh
Gūnj Gūnj Uṭhe Haiñ Naqmāt-E-Razāؔ Se Bostān
Kyuñ Na Ho Kis Phool Ki Midhat Mein Wa Minkār Hai
🌟🌟🌟

Also Read: Sunty Hain k Mehshar me New Tazmin Lyrics

Mujda Baad Aye Aasion Tazmeen in Urdu

حشر کے دن عظمتِ سرکارﷺ کا اظہار ہے
سنیوں پھر کیوں تمہارے دل پہ غم کا بار ہے
بخشوانے کے لیے اُن کا کرم تیّار ہے
مژدہ باد اے عاصیو! شافِع شہِ اَبرار ہے
تَہْنِیت اے مجرمو! ذاتِ خدا غَفَّار ہے
🌟🌟🌟

اختیارِ مصطفیٰﷺ کا آٶ ہم چرچا کریں
نعتِ حضرت سے چلو ہم مُردہ دل زندہ کریں
اک اشارہ جب کبھی انگشت سے آقاﷺ کریں
چاند شق ہو، پَیڑ بولیں، جانور سجدہ کریں
بَارَکَ اللہ مرجع عالَم یہی سرکار ہے
🌟🌟🌟

دوجہاں میں رب نے جن کو رحمت و کوثر دئیے
سوکھی لکڑی کو جنہوں نے تیغ کے سے پَر دئیے
جن کے ہاتھوں میں خدا نے کنزِ بحر و بر دئیے
جن کو سُوئےآسماں پھیلا کےجل تھل بھردئیے
صدقہ اُن ہاتھوں کاپیارے ہم کو بھی درکار ہے
🌟🌟🌟

شاہِ خوباںﷺ تم کو مولیٰ نے بنایا بـےنظیر
چاند، سورج اور ستارے سب تمہارے ہیں اسیر
تم جو فرما دو وہ ہوکر ہی رہے طیبہ کے میر
لَب زُلالِ چَشمَۂ کُن میں گُندھے وقتِ خمیر
مُردے زندہ کرنا اے جاں تم کو کیا دُشوار ہے
🌟🌟🌟

قبر کی وحشت نے گھیرا پُرخطر ہیں راستے
میں اکیلا اور نکیرین اور اُن کے ضابطے
جلوۂ زیبا دکھا دو اب مٹا دو فاصلے
گورے گورے پاؤں چمکا دو خدا کے واسطے
نور کا تڑکا ہو پیارے گور کی شب تار ہے
🌟🌟🌟

حشر کے میدان کا ہر راستہ ہے پُرخطر
حوضِ کوثر ہو یا ہو میزان یا پُل کی ڈگر
نفسی نفسی کا ہے عالَم ایسے میں خیر البشر
تیرے ہی دامن پہ ہر عاصِی کی پڑتی ہے نظر
ایک جانِ بے خطا پر دو جہاں کا بار ہے
🌟🌟🌟

ایک عرصہ ہوگیا دیکھے ہوۓ فصلِ بہار
گردشِ دوراں نے سینہ کر دیا ہے داغ دار
کیجیے نظرِ کرم اب تو شہِ عالی وقار
جوشِ طُوفاں بحرِ بے پایاں ہوا نا سازگار
نُوح کے مولیٰ کرم کر دے تو بیڑا پار ہے
🌟🌟🌟

شہد نامِ مصطفیٰ لینے سے منھ میں جاۓ گھُل
اُن کی ہی مدحت میں ہیں قرآن کی آیات کُل
کیا بیاں کرپاۓ کوٸی شانِ سلطانُ الرُّسُل
حیرتیں ہیں آئینہ دارِ وفورِ وَصفِ گُل
اُن کے بلبل کی خموشی بھی لبِ اِظہار ہے
🌟🌟🌟

اک سے بڑھ ایک آۓ دہر میں اہلِ زباں
نعت گوٸی میں مگر اُن سا نہیں سحرِ بیاں
جھوم کر ایوبؔ بولیں بلبلِ باغِ جناں
گُونج گُونج اُٹھےہیں نغماتِ رضاؔ سے بوستاں
کیوں نہ ہو کس پھول کی مدحت میں وَامِنقار ہے
🌟🌟🌟

✍🏻از محمد ایوب رضا امجدی کولکاتا غفرلہ

About Muhammad Abdullah

Muhammad Abdullah, a celebrated Naat Khawan and CEO of NaatLyrics.online, is dedicated to spreading love for the Prophet Muhammad through soulful naat recitations. This platform provides authentic naat lyrics, enriching the lives of enthusiasts worldwide. Muhammad Abdullah inspires a deeper connection to faith and the Prophet.

Check Also

Har Udasi ka Hal Madina Hai Lyrics

Har Udasi ka Hal Madina Hai Lyrics

This Beautiful Naat “Naimatain be badal Madina Hai” is written by Young Poet Hafiz Hussnain …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *