Muhammad Mazhar E Kamil Hai Haq Ki Shan E Izzat Ka
Nazar aata hai is kathrat mein kuch andaaz-e-wahdat ka
πππ
Yehi hai asal-e-aalam-e-madda, ijada-e-khalqat ka
Yahan wahdat mein barpa hai ajab hungama kathrat ka
πππ
Gada bhi muntazir hai khuld mein neekon ki dawat ka
Khuda din khair se laye sakhi ke ghar ziyafat ka
πππ
Gunah maghfur, dil roshan, khank aankhein, jigar thanda
Tβala-e-Allah Mah-e-Tayyaba, aalam teri talβat ka
πππ
Na rakhi gul ke josh-e-husn ne gulshan mein ja baqi
Chatakta phir kahan ghuncha koi bagh-e-risalat ka
πππ
Barha yeh silsila rahmat ka dour-e-zulf-e-wala mein
Tasalsul kaley kosoβn reh gaya ashiyan ki zulmat ka
πππ
Saf-e-matam uthe, khali ho zindan, tootin zanjeerein
Gunnahgaro! chalo Maula ne dar khola hai jannat ka
πππ
Sikhaaya hai yeh kis gustakh ne aaina ko ya Rab
Nazaara ro-e-janaan ka bahana karke hairat ka
πππ
Idhar ummat ki hasrat par, udhar Khaliq ki rahmat par,
Nirala taur hoga gardish-e-chashm-e-shafaβat ka.
πππ
Barhein is darje ki maujain, kasrat-e-afzal-e-wala ka,
Kinara mil gaya is nehr se darya-e-wahdat ka.
πππ
Kham-e-zulf-e-Nabi sajid hai mihrab-e-do-abru mein,
Ke ya Rab tu hi wali hai siyah-karan-e-ummat ka.
πππ
Madad ae joshish-e-girya-baha de koh aur sahra,
Nazar aa jaye jalwa-e-be-hijab is paak turbat ka.
πππ
Hue kam-khwabi-e-hijran mein saton par de kam-khwabi,
Tasawwur-e-khoob bandha aankhon ne istar-e-turbat ka.
πππ
Yaqeen hai waqt-e-jalwa laghzishiyan paye nigahein paye,
Mile josh-e-safaye jism se pa-bos hazrat ka.
πππ
Yahan charkha namak wahan marham-e-kafoor hath aaya,
Dil-e-zakhmi namak parwarda hai kis ki malahat ka.
πππ
Ilahi! Muntazir hun wo kharβam naz farmayen,
Bacha rakha hai farsh aankhon ne kam-khwab-e-basarβat ka.
πππ
Na ho Aqa ko sajda Adam-o-Yusuf ko sajda ho,
Magar sadd-e-zarai dabb hai apni shariat ka.
πππ
Zaban-e-khar kis kis dard se unko sunati hai,
Tarapna dast-e-taiba mein jigar-e-afkar-e-furqat ka.
πππ
Siraaney un ke basmal ke ye be-tabi ka matam hai,
Shahe-Kosar tarahham tashna jata hai ziyarat ka.
πππ
Jinhen marqad mein ta-hashr ummati keh kar pukaro ge,
Humein bhi yaad karlo un mein sadaqa apni rahmat ka.
πππ
Wo chamkein bijlian ya Rab! Tajalliha-e-janan se,
Ke chashm-e-toor ka surma ho dil mushtaq rooyat ka.
πππ
Raziaye khasta josh-e-bahr-e-βasiyan se na ghabrana,
Kabhi to hath aa jaye ga daman un ki rahmat ka.
πππ