Kabe Ke Badrudduja Lyrics – Salam Lyrics

The Beautiful Salam “kabe ke badrudduja”is written by Imam Ahmad Raza Khan (R). In this post you will get kabe ke badrudduja lyrics, kabe ke badrudduja salam lyrics, kabe ke badrudduja lyrics in urdu and kabe ke badrudduja tum pe karoron durood lyrics.

Kabe Ke Badrudduja Lyrics

Shaafa’e Roze Jazaa Tum Pe Karodo Durood
Daafa’e Jumla Balaa Tum Pe Karodo Durood
🌟🌟🌟

Jaano Dil-E-Asfiya Tum Pe Karodo Durood
Aabo Gil-E-Ambiya Tum Pe Karodo Durood
🌟🌟🌟

Laayein To Yeh Doosra Do-Saraa Jisko Mila
Koshak E Arsh-O-Danaa Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Aur Koi Gaib Kya Tum Se Nihaan Ho Bhala
Jab Na Khuda Hi Chupa Tum Pe Karodo Durood
🌟🌟🌟

Toor Pe Jo Sham’a Tha Chaand Tha Saa’eer Ka
Naiyyar E Faaraa’n Hua Tum Pe Karoron Durood
🌟🌟🌟

Dil Karo Thanda Mera Wo Kafe Paa Chand Sa
Sine Pe Rakh Do Zara Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Zaat Hui Intekhaab Wasf Hue La-Jawab
Naam Hua Mustafa Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Gaayat-O-Illat Sabab Behre Jahaan Tum Ho Sab
Tum Se Banaa Tum Bina Tum Pe Karoron Durood
🌟🌟🌟

Tumse Jahaan Ki Hayaat Tum Se Jahaan Ka Sabaat
Asl Se Hai Zil Bandha Tum Pe Karoron Durood
🌟🌟🌟

Magz Ho Tum Aur Post Aur Hai Baahar Ke Dost
Tum Ho Daroon-E-Saraa Tum Pe Karoron Durood
🌟🌟🌟

Kya Hai Jo Be-Had Hai Laus, Tum To Ho Gais Aur Gaus
Cheentein Me Hoga Bhalaa Tum Pe Karoron Durood
🌟🌟🌟

Tum Ho Hafeez-O-Mugeez Kya Hai Wo Dushman Khabees
Tum Ho To Phir Khauf Kya Tum Pe Karoron Durood
🌟🌟🌟

Wo Shab-E-Meraj Raaj, Wo Saf E Mehshar Ka Taaj
Koi Bhi Aisa Huwa Tum Pe Karoron Durood
🌟🌟🌟

Jaan-O-Jahaan E Maseeh, Daad Ki Dil Hai Jareeh
Nabzein Chooti Dam Chala Tum Pe Karoron Durood
🌟🌟🌟

Uff Wo Rah E Sanglaakh Aah Ye Paa Shaakh Shaakh
Aye Mere Mushkil Kusha Tum Pe Karoron Durood
🌟🌟🌟

Tum Se Khula Baab-E-Jood Tum Se Hai Sab Ka Wajood
Tum Se Hai Sabki Bakaa Tum Pe Karoron Durood
🌟🌟🌟

Khasta Hoon Aur Tum Ma’aaz, Basta Hoon Aur Tum Malaaz
Aage Jo Shah Ki Raza Tum Pe Karoron Durood
🌟🌟🌟

Garche Hain Behad Kasoor Tum Ho Afuww-O-Gafoor
Baksh Do Jurm O Khataa Tum Pe Karoron Durood
🌟🌟🌟

Mehr E Khuda Noor Noor, Dil Hai Siyaah Din Hai Door
Shab Mein Karo Chaandna Tum Pe Karoron Durood
🌟🌟🌟

Tum Ho Shaheed-O-Baseer Aur Main Gunaah Pur Diler
Khol Do Chashme Hayaa Tum Pe Karoron Durood
🌟🌟🌟

Cheent Tumhari Sahar, Chhoot Tumhari Qamar
Dil Me Racha Do Zia Tum Pe Karoron Durood
🌟🌟🌟

Tum Se Khuda Ka Zuhoor Usse Tumhara Zuhoor
“LIM” Hai Ye Woh “IN” Hua Tum Pe Karoron Durood
🌟🌟🌟

Be-Hunar O Be-Tameez Kis Ko Huwe Hain Azeez
Ek Tumhare Siwa Tum Pe Karoron Durood
🌟🌟🌟

Aas Hai Koi Na Paas Ek Tumhari Hai Aas
Bas Hai Yahi Aasra Tum Pe Karodo Durood
🌟🌟🌟

Taarame Aa’la Ka Arsh Jis Kafe Paa Ka Hai Farsh
Aankhon Pe Rakh Do Zara Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Kehne Ko Hai Aam-O-Khaas Ek Tumhi Ho Khalaas
Band Se Kar Do Riha Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Tum Ho Shifaa-E-Maraz Khalq-E-Khuda Khud Garaz
Khalq Ki Haajat Bhi Kya Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Aah Woh Raah-E-Siraat Bandon Ki Kitni Bisaat
Al Madad Aye Rehnuma Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Be Adab-O-Bad-Lihaaz Kar Na Saka Kuch Hifaaz
Afw Pe Bhoola Raha Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Lo Tahe Daaman Ki Sham’a Jhonko Mein Hai Roze Jam’a
Aandhiyon Se Hashr Uthaa Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Seena Ki Hai Daag Daag Keh Do Kare Baag Baag
Taiba Se Aa Kar Saba Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Gesu O Qad Laam Alif Kar Do Bala Munsarif
Laa Ke Tahe Taig ‘Laa’ Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Tum Ne Ba-Range Falaq Jaibe Jahaa(N) Kar Ke Shaq
Noor Ka Tadka Kiya Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Naubate Dar Hain Falak Khaadim E Dar Hain Malak
Tum Ho Jahaan Baadshah Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Khilq Tumhari Jameel Khulq Tumhara Jaleel
Khalq Tumhari Gada Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Taiba Ke Maahe Tamaam Jumla Rusul Ke Imaam
Nau Shahe Mulke Khuda Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Tum Se Jahaa Ka Nizaam Tum Pe Karodon Salaam
Tum Pe Karodon Sanaa Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Tum Ho Jawwaado Kareem Tum Ho Rauf-O-Raheem
Bheek Ho Daata Ata Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Khalq Ke Haakim Ho Tum Rizq Ke Qaasim Ho Tum
Tum Se Mila Jo Mila Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Naaf’e O Daaf’e Ho Tum Shaaf’e O Raaf’e Ho Tum
Tum Se Bas Afzoo N Khuda Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Shaafi O Naafi Ho Tum Kaafi O Waafi Ho Tum
Dard Ko Kardo Dawa Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Jaaye Na Jab Tak Ghulam Khuld Hai Sab Par Haraam
Milk To Hai Aap Ka Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Mazhare Haq Ho Tumhi Muzhire Haq Ho Tumhi
Tum Mein Hai Zaahir Khuda Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Zordi-He Naa-Rasaa Takya Gahe Bekasaa
Badshah E Maa Waraa Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Barse Karam Ki Bharan Phoole Ni’am Ke Chaman
Aisi Chala Do Hawa Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Ek Taraf Aadaa-E-Deen Ek Taraf Haasidee(n)
Banda Hai Tanha Shaha Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Kyun Kahoon Bekas Hoon Main Kyun Kahoon Bebas Hoon Main
Tum Ho Main Tum Par Fida Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Gande Nikamme Kameen Mehnge Ho Kodi Ke Teen
Kaun Humein Paalta Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Baat Na Dar Ke Kahi Ghaat Na Ghar Ke Kahi
Aise Tumhe Paalna Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Aiso Ko Ne’mat Khilaao Doodh Ke Sharbat Pilaao
Aiso Ko Aisi Gizaa Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Girne Ko Hoon Rok Lo Ghota Lage Haath Do
Aiso Par Aisi Ata Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Apne Khatawaaron Ko Apne Hi Daaman Mein Lo
Kaun Kare Yeh Bhala Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Kar Ke Tumhare Gunaah Maange Tumhari Panaah
Tum Kaho Daaman Mein Aa Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Kar Do ‘Adoo Ko Tabaah Haasidon Ko Roo Baraah
Ahle Wilaa Ka Bhala Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Hum Ne Khataa Mein Na Ki Tum Ne Ata Mein Na Ki
Koi Kami Sarwara Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Kaam Ghazab Ke Kiya Us Pe Hai Sarkaar Se
Bandon Ko Chashme Raza Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Aankh Ata Kijiye Us Mein Ziya Dijiye
Jalwa Kareeb Aa Gaya Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

Kaam Woh Le Lijiye Tum Ko Jo Raazi Kare
Thik Ho Naam E Raza Tum Pe Karodon Durood
🌟🌟🌟

About Muhammad Abdullah

Muhammad Abdullah, a celebrated Naat Khawan and CEO of NaatLyrics.online, is dedicated to spreading love for the Prophet Muhammad through soulful naat recitations. This platform provides authentic naat lyrics, enriching the lives of enthusiasts worldwide. Muhammad Abdullah inspires a deeper connection to faith and the Prophet.

Check Also

Jisne Haq Karbala Mein Ada Kar Diya Lyrics in English and Urdu

This is the Beautiful Salam for “Imam Husayn ibn Ali“. In this post you will …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *