Huzur Esa Koi Intezaam Ho Jaaye
Salam Ke Liye Hazir Ghulam Ho Jaye
πππ
Main Sirf Dekh Loon Ek Baar Subhe Taiba Ko
Nazar Se Choom Loon Ek Baar Sabz Gumbad Ko
Mein Sirf Dekh Loon Ek Baar Husn e Taiba Ko
Bala Se Phir Meri Duniya Main Shaam Ho Jaye
πππ
Tajalliyaat Se Bhar Loon Main Apna Qaasa-e-Dil o Jaan
Kabhi Jo Unki Gali Main Qayaam Ho Jaye
πππ
Huzoor Aap Jo Sunle To Baat Ban Jaye
Huzoor Aap Jo Kehde To Kaam Ho Jaye
πππ
HuzoorΒ Aap Jo Chahe To Kuch Nahi Mushkil
Simat Ke Faasla Ye Chand Gaam Ho Jaye
πππ
Mile Mujhe Bhi Zabaan e Busiri-o-Jaami
Mera Kalaam Bhi Maqbool e Aam Ho Jaye
πππ
Maza To Jab Hai Farishte Yeh Qabr Main Keh Dain
Sabih Midhat-e-Khair ul Anaam Ho Jaye
πππ
Huzur Esa Koi Intezaam Ho Jaaye
Salam Ke Liye Hazir Ghulam Ho Jaye
πππ