Breaking News
Bul Hawas Sun Seem O Zar Ki Lyrics

Bul Hawas Sun Seem O Zar Ki Lyrics

This Beautiful Naat “Bul Hawas Sun Seem O Zar Ki Bandagi Achhi Nahi” is recited by Owais Raza Qadri. In this post you will get Bul Hawas Sun Seem O Zar Ki Lyrics in Urdu

Bul Hawas Sun Urdu

Bul Hawas sun Simo zar ki bandagi acchhi nahin
Unke Dar ki bhik acchhi Sarwari achi nahi
🌟🌟🌟

Sarwari kya chiz hai Unki Gadai ke Huzur
Unke Dar ki bhik acchhi Sarwari achi nahi
🌟🌟🌟

Unki Chokhat chum kar khud keh rahi hai Sarwari
Unke Dar ki bhik acchhi Sarwari achi nahi
🌟🌟🌟

Sarwari Khud hai bhikaran Bandagane Shah ki
Unke Dar ki bhik acchhi Sarwari achi nahi
🌟🌟🌟

Taaj khud rakkha sakar da Go yadi ja Tajwar
Unke Dar ki bhik acchhi Sarwari achi nahi
🌟🌟🌟

Taaj ko kasa bana kar Taajwar kehte hein yun
Unke Dar ki bhik acchhi Sarwari achi nahi
🌟🌟🌟

Mufti-e-Azam yake az mardo mane Mustafa
Us Raza-e-Mustafa se Dushmani achi nahi
🌟🌟🌟

Hujjatul Islam Aye Hamid Raza Baba-e-Man
Tumko bin dekhe Hamari Zindagi achi nahi
🌟🌟🌟

Khake Tayba ki Talab mein Khak ho ye Zindagi
Khake Tayba acchhi Apni Zindagi achi nahi
🌟🌟🌟

Aarzu mandan e gul kanton se bachte hein kahin
Khare Taiba se Teri pehlu tahi achi nahi
🌟🌟🌟

Dashte Tayba ke fidaii se Jina ka tazkira
Jo rula de khoon aesi dil lagi achi nahi
🌟🌟🌟

Dashte Taiba chhod kar mein Sair e Jannat ko chalun
Rehne dijiye Shekh ji Diwangi achi nahi
🌟🌟🌟

Jo junune Khuld mein kawwon ko de bethen dharam
Aese andhe Shekh ji ki perwi achi nahi
🌟🌟🌟

Aqal Chopayon ko de bethe Hakim e Thanwi
Mein na kehta tha ke Sohbat Dev ki achi nahi
🌟🌟🌟

Yaade Jana mein Ma’zallah hasti thi khabar
Yaade Jana mein kisi se aagahi achi nahi
🌟🌟🌟

Shame Hijra mein Hamein hai justuju Us maher ki
Chodwi ke Chand Teri Chandani achi nahi
🌟🌟🌟

Toke Tehzibe Firangi Tod dali Mominon
Teergi Anjam hai ye Roshni achi nahi
🌟🌟🌟

Shaak e Gul par hi banayeinge ana dil Aashiyan
Bark se keh do ke Hamse zidd Teri achi nahi
🌟🌟🌟

Jo Piya man bhaye Akhtar Wo Suhana Raag hai
Jis se nakhush hon Piya Wo Ragni achi nahi
🌟🌟🌟

About Muhammad Abdullah

Muhammad Abdullah, a celebrated Naat Khawan and CEO of NaatLyrics.online, is dedicated to spreading love for the Prophet Muhammad through soulful naat recitations. This platform provides authentic naat lyrics, enriching the lives of enthusiasts worldwide. Muhammad Abdullah inspires a deeper connection to faith and the Prophet.

Check Also

Aaj Ashk Mere Naat Sunain Lyrics

This Beautiful Naat “Aaj Ashk Mere Naat sunaen tou Ajab Kya” is written by Adeeb …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *