Aaqa Ka Milad Aaya Lyrics in English

This Beautiful Naat “Aaqa Ka Milad Aaya” is written by Famous Naat Khuwan Poet “AL – Haj Owais Raza Qadri. In this post, You will get aaqa ka milad aaya lyrics, aaqa ka milad aaya naat lyrics, aaqa ka milad aaya lyrics in urdu and aaqa ka milad aaya Full naat lyrics.

Aaqa Ka Milad Aaya Lyrics in English

 

Charoon Taraf Noor Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
Khushiyon Ka Pegham Laya Aaqa Ka Milad Aaya
🌟🌟🌟


Shams-O-Qamar Aur Taaray Kyun Na Ho Khush Aaj Saaray
Unse Hee Tou Noor Paaya Aaqa Ka Milad Aaya
🌟🌟🌟


Khushiyan Manatay Hain Wohi Dhoomein Machatay Hain Wohi
Jinn Per Hua Unka Saaya Aaqa Ka Milad Aaya
🌟🌟🌟


Hai Shaad Har Ek Musalmaan Karta Hai Ghar Ghar Charaghaan
Galiyun Ko Bhi Jagmagaya Aaqa Ka Milad Aaya
🌟🌟🌟


Mukhtar-e-Kul Maanay Jou Unhe Noori Bashar Jaanay Jou Unhe
Na’ara Ussi Ne Lagaya Aaqa Ka Milad Aaya
🌟🌟🌟


Jou Aaj Mehfil Mein Aaye Mun Ki Muradein Woh Paaye
Sab Par Karam Ho Khudaya Aaqa Ka Milad Aaya
🌟🌟🌟


Ghous Ul Wara Aur Data Ne Mere Raza Aur Khuwaja Ne
Sab Ne Hee Din Ye Manaya Aaqa Ka Milad Aaya
🌟🌟🌟


Na’at-e-Nabi Tum Sunao Ishq-e-Nabi Ko Barhao
Hum Ko Raza Ne Sikhaya Aaqa Ka Milad Aaya
🌟🌟🌟


Jiss Ko Shajar Jaantay Hain Kehna Hajar Maantay Hain
Aisa Nabi Hum Ne Paaya Aaqa Ka Milad Aaya
🌟🌟🌟


Dil Jagmaganay Lagay Hain Sab Muskaranay Lagay Hain
Ik Kaif Sa Aaj Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
🌟🌟🌟


Kar Ae Ubaid Unki Midhat Tujh Per Khuda Ki Ho Rehmat
Tu Ne Muqqadar Ye Paaya Aaqa Ka Milad Aaya
🌟🌟🌟

About Muhammad Abdullah

Muhammad Abdullah, a celebrated Naat Khawan and CEO of NaatLyrics.online, is dedicated to spreading love for the Prophet Muhammad through soulful naat recitations. This platform provides authentic naat lyrics, enriching the lives of enthusiasts worldwide. Muhammad Abdullah inspires a deeper connection to faith and the Prophet.

Check Also

Soz E Dil Chahiye Lyrics in English

Soz E Dil Chahiye Lyrics in English

This Beautiful Naat “Soz E Dil Chahiye Chashm E Nam Chahiye” is written by Iqbal …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *