This Beautiful Naat “Na Ho Aram Jis Bimar Ko Saarey Zamaaney Sey” is written by Molana Hasan Raza Khan. In this post you will get Na ho Aram Jis Bimar Ko Naat Lyrics.
Na ho Aram Jis Bimar Ko Lyrics in English
Na Ho Aram Jis Bimar Ko Sary Zamany Sy
Utha Ly Jae Thori Khak Unkey Aastany Sy
🌟🌟🌟
Tumhary Dar, Ke Tukron Sy, Para Palta Hai ik Aalam
Guzara Sab Ka Hota Hey, Issi Muhtaj Khaney Sy
🌟🌟🌟
Shab e Asra Ky Dulha Par Nishawar Hony Wali Thi
Nhi Tou Kya Qarz Thi Itni Jaano Ky Banany Sy
🌟🌟🌟
Koi Firdous Ho Ya Khuld Ho, Hum Ko Qaraz Matlab
Lagaya Ab To Bistar Ap Hi Ky Aastaney Sy
🌟🌟🌟
Na Kyun Un Ki Taraf Allah, Soo Soo Pyaar Sy Dekhy
Jo Apni Ankhain Malty Hain, Tumhary Aastany Sy
🌟🌟🌟
Tumhary Tou Woh Ehsaan Aur Yeh Na-farmaniyan Apni
Hamain Tou Sharm Si Ati Hai Tum Ko Moun Dikhany Sy
🌟🌟🌟
Bahary Khuld Sadqe Ho Rahi Hy Roh e Ashiq Par
Khilli Jati Hain Kaliyan Dil main, Tere Muskurany Sy
🌟🌟🌟
Zameen Thori Si De De Behr e Madfan Apny Kochey Main
Laga Dy Mery Piyary Meri Mitti Bhi Thikany Sy
🌟🌟🌟
Palat ta Hai Jo Za’ir Us Sy Kehta Hai Naseeb Us Ka
Ary Ghafil Qaza Behtar Hy, Yahn Sy Phir Ke Jany Sy
🌟🌟🌟
Bulalo Apny Dar Par Ab Tou Hum Khanah Badosho Ko
Phiry Kab Tak Zaleel o Khuwar Dar Dar Be Thikany Sy
🌟🌟🌟
Na Pohnchy Un Key Qadmo Tak, Na Kuch Husn e Amal Hi Hy
Hassan Kya Pochty Ho Hum Gaye Guzray Zamany Sy
🌟🌟🌟
Na Ho Araam Jis Bimaar, Ko Saarey Zamanay Sy
Utha Ley Jaaey Thori Khaak Unkey Aastany Sy
🌟🌟🌟