Koi Dunya e Ata me Nahi Hamta Tera English Lyrics

Koi Dunya e Ata me Nahi Hamta Tera English Lyrics

This Beautiful Naat “Koi Dunya e Ata me Nahi Hamta Tera” is written by Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan (R.A). In this post you will get Koi Dunya e Ata me Nahi Hamta Tera English Lyrics.

For Urdu Lyrics: Click Here

Koi Dunya e Ata me Nahi Hamta Tera English Lyrics

Koi duniya-e-ataa mein nahin humta tera
Ho jo Hatim ko muyassar yeh nazara tera
Keh uthay dekh ke bakhshish mein yeh rutba tera
Wah kya Jod-o-karam hai Shah-e-Batha tera
Nahi sunta hi nahi Maangne wala tera
🌟🌟🌟

Kuch bashar hone ke Nate tujhe khud sa Jaanain
Aur kuch mehz payaami hi Khuda ka jaanain
In ki Auqaat hi kya hai ke yeh itna Jaanain
Farsh wale teri Shokat ka ulu kya Jaanain
Khusrawa Arsh pe urta hai phareera tera
🌟🌟🌟

Jo tasawwur mein tera Paikar-e-zeba dekhein
Roye-wash-shams Takain, Matla-e-Seema dekhein
Kyun Bhala ab woh kisi aur ka Chehra Dekhein
Tere Qadmon mein jo hain Ghair ka munh kya Dekhein
Kaun Nazron pe charhay dekh ke talwa tera
🌟🌟🌟

Mujh se na Cheez pe hai teri inayat kitni
Tu ne har Gaam pe ki meri himayat kitni
Kya bataun Teri rehmat mein hai wusat kitni
Ek main kya mere Isyan ki haqeeqat kitni
Mujh se soo lakh ko kaafi hai ishara tera
🌟🌟🌟

Kahin Pushton se Ghulami ka yeh Rishta hai bahal
Yahin Tifli-o-Jawani ke Bitaye Mah-o-saal
Ab Burhaapay mein Khudara humein Yun dar se na taal
Tere tukron pe pale, Ghair ki Thokar pe na daal
Jhirkiyan khaye kahan chod ke Sadqa tera
🌟🌟🌟

Gham-e-dauran se ghabraiye, kis se kahiye
Apni uljhan kise batlaaiye, kis se kahiye
Cheer kar dil kise dikhlaaiye, kis se kahiye
Kis ka munh takiye, kahan jaiye, kis se kahiye
Tere hi qadmon pe mit jaye yeh pala tera
🌟🌟🌟

Nazr-e-Ushaaq-e-Nabi hai yeh mera Harf-e-Ghareeb
Minbar-o-Waaz pe Larte Rahen Apas mein Khateeb
Yeh Aqeeda Rahe Allah kare mujh ko naseeb
Main to Malik hi kahunga ke ho Maalik ke Habeeb
Yani Mehboob-o-Mohib mein nahi mera Tera
🌟🌟🌟

Tujh se har Chand woh hain Qadr-o-Fazail mein Rafee
Kar Naseer aj magar Fikr-e-Raza ki Tosee
Pas hai us ke shafaat ka Waseela bhi waqee
Teri sarkaar mein lata hai Raza us ko shafee
Jo mera Ghous hai aur Laadla beta tera
🌟🌟🌟

About Muhammad Abdullah

Muhammad Abdullah, a celebrated Naat Khawan and CEO of NaatLyrics.online, is dedicated to spreading love for the Prophet Muhammad through soulful naat recitations. This platform provides authentic naat lyrics, enriching the lives of enthusiasts worldwide. Muhammad Abdullah inspires a deeper connection to faith and the Prophet.

Check Also

Na Aasman Ko Yun Sar Kashida Hona Tha

Na Aasman Ko Yun Sar Kashida Hona Tha Lyrics

This Beautiful Naat “Na Aasman Ko Yun Sar Kashida Hona Tha” is written by Ala …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *